Assalamo alaiqum Allah Ta’ala Uss Shakhs Se Nafrat Karta Hai Jo ….
» Hadees: Hazrat Abu Hurairah (Radhi Allahu Ta’ala Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool’Allah ﷺ (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshaad Farmaya Ke,
“Allah Ta’ala Uss Shakhs Se Nafrat Karta Hai Jo Sakht Mijaaz Ho, Zyada Khane Wala Ho, Baazaro Me Chikhne Wala Ho, Raat Me Murde Ki Tarah (Pada Sota Rehta) Ho, Din Me Gadhe Ki Tarah (Dunayavi Kaamo Me Fansa Rehta) Ho, Duniya Ke Maamlo Ka Jaan’ne Wala Aur Aakhirat Ke Umoor Se Bilkul Jaahil (Bekhabar) Ho”.
-
Ibn Habban : 1/274)
» Note: Din Me Ghadhe Ki Tarha Fansa Rahne Se Murad Hai Ke Pura Din Zikr-e-Ilahi Ke Bagair Guzarna, Aise Shaksh Ko Gadhe Ki Tarha Duniyayi Kaamo Me Mashruf Kaha Gaya Hai.